To see a world in a grain of sand

Wednesday, July 19, 2006


Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen toh kahin aasmaan nahi milta

Jise bhi dekhiye wo apne aap mein gumm hai
Zubaan mili hai magar hum-zubaan nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta

Bhuja saka hai bhala kaun, waqt ke sholay
Ye aisi aag hai jismay, dhuaan nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta

Tere jahaan mein aisa nahi ke pyar na ho
Jahan umeed ho iski, wahan nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen toh kahin aasmaan nahi milta

-Nida Fazli

0 mint(s) of wisdom: